Wednesday 28 September 2011

wo tere naseeb ki baarishein kisi or chaht pe baras gai

kahan aake rukne they rastey,kahan mor tha ose bhol ja
jo tujhey mila osey yaad rakh jo nahi mila osey bhool ja

wo tere naseeb ki barishein kisi aur chat pe baras gai
dile be khabr meri baat sun,ose bhol ja ose bhol ja

mein to gum tha tere hi dheyan mien teri aas mien tere guman mien
saba keh gai mere kaan mien mere sath aa ose bhool ja

kisi aankh mien nahi ahke gham tere baad kuch bhi nahi hai kum
tujhe zindagi ne bhula dia tu bhi muskura ose bhol ja

kion ata hua hai ghubar mien ghame zindagi k fishar mien
wo jo darj tha tere bakht mien so wo ho gaya,ose bhool ja

na wo aankh hi teri aankh thi na wo khuwab hi tera khuwab tha
dile muntazir to ye kis liye tera jagna,osey bhool ja

tujhey chand ban ker mila tha jo tere sahilo pe khila tha jo
wo tha ek derya wisal ka so oter gaya ose bhool ja

wo bisate jaan hi olat gaya wo jo raastey sey palat gay
osey dekhne se husool kia ose mat bula,ose bhool ja

Sunday 14 August 2011

Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray

Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho

Yahan Jo Phool Khilay, Khila Rahay Sadi'on
Yahan Khizaan Ko Guzarnay Ki Bhi Majaal Na Ho

Yahan Jo Sabza Ugay, Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz Ke Jis Ki Koi Misaal Na Ho

Khuda Karay Ke Na Kham Ho Sir-e-Waqar-e-Watan
Aur Is Ke Husn Ko Tashweesh-e-Mah-o-Saal Na Ho

Her Aik Fard Ho, Tahzeeb-o-Fun Ka Oaj-e-Kamaal
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho

Khuda Karay Ke Meray Aik Bhi Hum'Watan Ke Leay
Hayaat Jurm Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho

Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho

Ahmad Nadeem Qasmi