Tuesday 10 December 2013

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind


Mohsin Naqvi Poetry

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind
Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Howa Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind
Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Os Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind
Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind
Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind
Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind
Os Shakhs Se Milna “Mohsin” Mera Mumkin Hee Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind

Mohsin Naqvi Poetry

Mohsin Naqvi Poetry

Aawargi mei “mohsin” is ko b hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana
Jab khwab nahi koi, kya zindagi ka karna
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana
Shab bhar k thikane ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana,
Aisa na ho darya mei tum baar-e-garaa’n thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana,
Suqraat k peene se kya mujh pe ayaa’n hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana,
Jab bhi nazar aao gy hum tum ko pukare’n ge,
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana…