Monday 19 March 2012

Wo humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi 
Keh dhoop chaaon ka alam raha, judaai naa thi 

Na apna ranj, na auron ka dukh, na tera malaal 
Shab-e-firaaq kabhi hum nay yun ganwayii na thi 

Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha 
Shikasta dil thay musaafir,... shikasta paayi na thi 

Adawatain thin, taghaful tha, ranjishen thin magar 
Bicharrnay waalay main sab kuch tha, bewafaayi na thi 

Bichartay waqt un ankhon main thi hamari ghazal 
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunaayii naa thi 

Kabhi yeh haal keh donon main yak-dili thi bohat 
Kabhi yeh marhalaa jaisay keh ashnaayi na thi 

Ajeeb hoti hai rah-e-sukhan bhi dekh 
Wahaan bhi aa gaye akhir jahan rasaayii na thi 

No comments:

Post a Comment