Saturday, 25 June 2011

8 TRUTHS TO REMEMBER:


8 TRUTHS TO REMEMBER:




1) Faith Is The Ability To Not Panic.



2) If You Worry, You Didn’t Pray. If You Pray, Don’t Worry.



3) Do The Math. Count Your Blessings.



4) God Wants Spiritual Truths, Not Religious Nuts.



5) Laugh Everyday, It’s Like Inner Jogging.



6) Growing Old Is Inevitable, Growing Up Is Optional.



7) Silence Is Often Misinterpreted, But Never Misquoted.



8 ) There Is No Key To Happiness, The Door Is Always Open.


Thursday, 23 June 2011

Main Tera Zikhar Na Cheron TO Bura Manty Hain


Tu Ghazal Orah K Nikly Keh Dhanak Ki Oat Chupy
Log Jis Roop Main Dekhain,Tujhy Pehchanty Hain

Yar to Yar Hain,Aghyar Bhi Mehfil Mein
Main Tera Zikhar Na Cheron TO Bura Manty Hain

Kitne Lehjon K Ghulafon Main Chupaon Tujhy Keh?
Sheher Waly Mera Mozu-e-Sukhan Janty Hain.......!!
__________________

Best Ghazal


Jab machla huwa dil ho
Aur tue bhi muqabil ho
Phir tere sewa ham ko
Kuch yaad naheen rahta
Gulrang badan tera pahley to mehkta hay
Phir aankhon hi aankhon main
Ek jaam chalakta hay
Pa kar yeh nasha ham ko
Kuch yaad naheen rahta
Tue zulf bakherey to sawan ki ghata chaye
Jab hont khuleen tereKoyal ki sada aye
Sun kar yeh sada ham ko
Kuch yaad naheen rahta
Guzrey hain kahi jalwe jazbaat ki rahoon se
Par tue hameen jab dekhe
Makhmoor nigahoon se
Aey jaan_e_wafa ham ko
Kuch yaad naheen rahta
__________________

Tuesday, 14 June 2011

Poet Bashir badar


Adab ki had main hoon ,main bay adab nahi hota
tumhara tazkra ab roz-o- shab nahi hota

kabhi kabhi tu chalak parhteen hain yoonhi ankhen
udas honay ka koi sabab nahi hota

kaye ameeron ki mehroomiyan na poch k bas
ghareeb honay ka ehsas ab nahi hotta

main waldan ko yeh batt kaysay samjaoon
mohabbatoon main hasab aur nasab nahi hotta

wahan k log baray dill farab hottay hain
mayra bahkna bhi kuch ajeeb nahi hotta

main uss zameen ka deedarkarna chahta hoon
jahan kabhi bhi KHUDA ka ghazab nahi hotta

Key Hatoo Pey Hena Paoon May Payail Hoogi.


Key Hatoo Pey Hena Paoon May Payail Hoogi....
Ek Dewaar Magar Beach May Hayail Hoogi......

Us Key Jalwoon Key Bhot Pass May Hoonga Leykin!
Wo Kisi Aur Ki Taqdeer Ka Hasil Hoogi....... ..
...
Surkh Kaproon Pey Sajey Taar Na Hoon Gay Merey!
Us Key Annkhoon May Merey Piyar Ki Jhilmil Hoogi

Jatey Jatey Wo Mujhey Piyar Say Dekhey Gi Jab..?
Rootey Rootey Wo Meri Rooh May Shamil Hoogi......

Mujh Say Wo Door Bhot Door Chali Jaye Gi....!
Yea Kahani Bhi Sir-e-Bazm Mukammal Hoo Gi.........
__________________


*~*~* Naeem!*~*

BARISHON K MOUSAM MEIN


BARISHON K MOUSAM MEIN

Dil ki sarzameeno per
Gard kiyun bikharti hai
Es tarha k mousam mein,
Phool kiyun nahi khiltay

Log kiyun nahi meltay
kyun faqat yeh tanhai
Saath saath rehti hai
Kiyun Bicharnay walon ki,
Yaad saath rehti hai
Itni tez barish se,
Dil ke aayeny per se,
Akks kiyun nahi dhultay
Zakhm kiyun nahi siltay
Neend kiyun nahi aati
BARSHON K MOUSAM MEIN
Aankh kiyun barasti hai
Ashk kiyun nahi thamtay
BARSHON K MOUSAM MEIN
LOG KIYUN NAHI MELTAY
ASHK KIYUN NAHI THAMTAY

Wo Shakhs Kabhi Dasht Se Guzre Tu Usay Kehna

Wo Shakhs Kabhi Dasht Se Guzre Tu Usay Kehna
Ek Pal Mere Ghar Main Bhi Thehre Usay Kehna



Kehna K Samandar K Kinare Pe Na Jaye
Kuch Loag Samandar Se bhi Gehray Hain Usay Kehna



ZarKhaiz Zameen Kabhi Banjar Nahi Hoti
Darya He Badal Lete Hai Rastay Usay Kehna



Kuch Loag Safar K Liye Hote Nahi Mozoon
Kuch Rastay Katthay Nahi Tanha Usay Kehna



Is Sheher Main Sach Keh K GunehGaar Na Hona
Keh Basti K Sabhi Loag Hain Behre Usay Kehna

Wo silsilay wo shoq wo nisbat nahi rahi

Wo silsilay wo shoq wo nisbat nahi rahi

Is zindagi main hijr ki wehshat nahi rahi

Phir yun hua k koi shanasa nahi raha

Phir yun hua k dard main shiddat nahi rahi

Phir yun hua k hogaya masroof wo bohat

Phir humko yaad karne ki fursat nahi rahi

Ahmed Nadeem Qasmi


wo koi aur na they chand Khushk patte they
shajar se toot ke jo fasl-e-gul per roye they

abhi abhi tumhein socha to kuch na yaad ayaa
abhi abhi to ham aik-doosrey sey bicharey they

tumhary baad chaman par jab aik nazar Dali
kali kali main Khizaan ke chiraagh jalate they

tamaam umer wafaa key gunaahgar rahey
ye aur baat key ham aadami to achchey they

shab-e-Khamosh ko tanhai ney zaban dey di
pahar gunjtey they dasht san sanatey they

wo aik baar marey jin ko thaa hayaat sey piyaar
jo zindagi sey guraizaan they roz maratey they

naye Khayaal ab aatey hain dhal ke zahan main
hamarey dil main kabhi khait lah_lahate they

ye iratiqa kaa chalan hai ki har zamane main
puraaney log naye aadami sey daratey they

'Nadeem' jo bhii mulaqat thi adhoori thi
kai aik cheharey key peecheye hazaar cheharey theya

Ab to shehron se Khabar aati hai divaanoon ki


Ab to shehron se Khabar aati hai divaanoon ki
ko�ii pehchaan hi baaqi nahiN viraanoon ki

Subha hote hi nikal aate hain bazaar mein loog
GaThriyaan sar pe uthaaye hu�e imaanoon ki

apni poshaak se hoshiyaar ke Khuddaam-e-qadim
dhajjiyaan maangte hain apne garibaanon ki

san�aten phailti jaati hain magar iske saath
sarhaden tuuTti jaati hain gulistaanon ki

unko kyaa fikr ke maiN paar lagaa ke Duubaa
bahes karte rahe saahil pe jo tuufaanoN ki

maqbare bante hain zindon ke makaanon se baland
kis qadar auj pe takriim hai insaanon ki

teri rahmat to musallam hai magar ye to bataa
kaun bijli ko Khabar detaa hai kaashaanon ki


abhi takmil ko pahuncha nahin zehnon kaa gudaaz
abhi duniyaa ko zarurat hai Ghazal-Khvanoon ki