Adab ki had main hoon ,main bay adab nahi hota
tumhara tazkra ab roz-o- shab nahi hota
kabhi kabhi tu chalak parhteen hain yoonhi ankhen
udas honay ka koi sabab nahi hota
kaye ameeron ki mehroomiyan na poch k bas
ghareeb honay ka ehsas ab nahi hotta
main waldan ko yeh batt kaysay samjaoon
mohabbatoon main hasab aur nasab nahi hotta
wahan k log baray dill farab hottay hain
mayra bahkna bhi kuch ajeeb nahi hotta
main uss zameen ka deedarkarna chahta hoon
jahan kabhi bhi KHUDA ka ghazab nahi hotta
No comments:
Post a Comment