Tuesday 14 June 2011

Ab to shehron se Khabar aati hai divaanoon ki


Ab to shehron se Khabar aati hai divaanoon ki
ko�ii pehchaan hi baaqi nahiN viraanoon ki

Subha hote hi nikal aate hain bazaar mein loog
GaThriyaan sar pe uthaaye hu�e imaanoon ki

apni poshaak se hoshiyaar ke Khuddaam-e-qadim
dhajjiyaan maangte hain apne garibaanon ki

san�aten phailti jaati hain magar iske saath
sarhaden tuuTti jaati hain gulistaanon ki

unko kyaa fikr ke maiN paar lagaa ke Duubaa
bahes karte rahe saahil pe jo tuufaanoN ki

maqbare bante hain zindon ke makaanon se baland
kis qadar auj pe takriim hai insaanon ki

teri rahmat to musallam hai magar ye to bataa
kaun bijli ko Khabar detaa hai kaashaanon ki


abhi takmil ko pahuncha nahin zehnon kaa gudaaz
abhi duniyaa ko zarurat hai Ghazal-Khvanoon ki

No comments:

Post a Comment